Kalabaazi
Mai to vahi ka vahi hun
Kaafi ghalat thoda sahi hun
Jazbaat utne hee maasoom hain
Samajh se utne hee mehroom hain
Tajurbon se jo bhi seekha bhool kyun raha hun?
Jahan nahi hona chahiye kyun vahan hun?
Ab to pata hai sahi raah phir bhatka hua kaise?
Kadam khud ba khud kyun mud rahe aise?
Nadaniyan karke khush ho raha hun banke naadaan
Muskura raha hun karke khud ka nuksaan
Ki zindagi bhar ka hai ye khel kood ye to saaf hai
Thoda khamiyaza bharoge, thoda maaf hai!
Comments