Har kadam ke darmiyan haath bhar zameen chod deta tha

Aisi meri chaal thi

Rengta to jaanta kya tha vahan par

Abhi to bas savaal hai

Thairta to shaayad sambhalna seekh jaata

chalte chalte ye bhi khayaal na aya

ab baitha hun kyunki umr ijaazat nahi deti

ae khuda maine chalte firte uthaane ki duaa maangi thi

teri khudai ab nazar ayi hai


Comments

Popular Posts