Ek pakki sadak par safar tay karo aur janoge vahan se kya uthaaya
Farrate se nikalti gadiyan ke bharbharate horns ka shor
Jo kadam dhang se rakhne bhi na dega
Aur ek kinare par dabake sadak hathiya lega
Dil chahega ek aisa kinaara mil jaye
Koi bench,ek cement ki slab jahan baith kar kuch sukoon ki saanse le li jayen
Par har taraf umadte log nazar ayenge
Nazar uthaoge to sainkdon bijli ke tar zehen uljhayenge
Unke khambo se jhoolte hue beshumaar ishtihaar
Jab ghar pahonchoge to thakaavat zyada mehsoos hogi
Paanv par kasa joota jaise haanf jayega
Aur pasine se uski khaal mehekne lagegi
Dhool ki ek mahin parat uski chamak dhak degi
Ek kacchi sadak par yahi safar karke dekhna
aisa rasta jaise hare ghane balon ke beech kisi ne maang nikal kar baal do taraf kar diye hon
Aaram se ek ek kadam apne padne ka maza lega
Dheere dheere chal rahe hoge aur age chalti bailgaadi tab bhi tez chalne ka ehsaas dilayegi
raste mein ek keechad ka padav ayega
aur ek bacche ki tarah ek paanv par sigdi khelte hue
vahan jame pattharon ke upar se nikal jaoge
jahan dil chahega vahan baith jaoge
jis ped ki chaanv ko chaho bistar bana loge
shor sirf hava ki sarsaraahat ka hoga
aur usme jhilmilaati bail ke gale mein bandhi ghanti ki avaaz
nazar uthayoge to kaahili se jhoolte bilji ke taar
aur unpar baitha parindo ka ambaar
ghar pahonchoge to joota safar ke husn ki gavahi dega
apne daaton mein ghaans ke reshe aur chote chote patthar dabaye
keechad mein ranga us bacche ki tarah dikhega
jise uski maa ne aangan mein akela chod diya ho
aur apne kaam mein lag gayi ho
lagega bachpan abhi shuru hua hai
kabhi na khatm hone ke liye .
Comments
I visualised it as an animated mood film.
It adds to the list of films that we have to make together..soooooooon
:-)
@Sahab
thehraav to gaanv hi hai..ye jo kuch abhi hain ..ye sab padav hain...
aur bilkul chala jaaye... vo kachapan apna sa hai..ye tarashe hue farsh aur raste..kisi ke nahi hai..sab sirf inpar se guzarne ke liye hain...aaj yahan kal kahin aur...parso gaanv hi ayega..chahe parso mein barson lag jayen.
shukriya...zahenasib