sattarah seediyan hain

khulte band hote darwaaze hain

charhte utarte kadmon ki 

anginat avaaze hain


Hasi ke thahake hain

Gussa bhare bayaan hai

Dikhne mein bandhe jaanwar jaise

Kehne ko insaan hain


chaar murjhaaye paudhe hain

sainkdo fati panniyo ke tukde

samaati se mehek hai

chand kaagaz ke tukdon mein lipti sulagti ek dehek hai


rutbo ki salaami hai

imaan ki neelaami hai

rozi ka zariya hai

apna apna nazariya hai

Comments

Unknown said…
Bahut achcha likha hain. Its very 'you'. Tu bhi jaanta hain aisa kyun kaha. Khair.
Sonia said…
wah!

Popular Posts