ungliyan chalti hain aur khud hi kuch likh jata hai

kagaz par bikhra apna aks nazar ata hai

vo aks jise mai khud hi baant deta hun

apne hathon apne jazbaton ko chaant deta hun

kuch hasne ke liye to kuch rone ke liye

ye lafz hai khud ko dubone ke liye

na jane ye parhne valon ko kya samjhate hain

jo sab samajh ke bhi vo nasamjh ban jate hain...


Comments

Popular Posts