jagti hui raat aur hava hai sard
sar me uthta hua vo halka sa dard

awaaz hai kisi ki mujhe so jana chahiye
sapno ki duniya me kho jaana chahiye

lekin ye jagna hai ehsas kuch dilvata
neend me kaun sa chain kama paata

karvat badalkar sochta rehta hun
apni kahani apne aap se kehta hun

sun leta hun magar amal nahi hota
kar paata vo sab kuch to mai na rota

akhir vo mai kahan kho gaya hun
adhkhuli ankhon se mai so gaya hun

na neend hai mukammal na hosh hain poore
abhi zindagi me bahot khwab hain adhoore

Comments

aashqa said…
kadam b kadam uthaney honge
apne hi honsley bardhane honge

manzil chahey dur hi kyon na ho
raasta to shuru yahin se hai - tu na kho

koi hamari nazar mein utar to hai jaata
magar wohi hamari nazar se dekh nahi paata

iradon ko apni buland karley
dekh khwab magar aankhain khol ke

akele hi haasil hoti hai apni kismat ki jaagir
aakhir nishane par baith ta hai kissi ek ka teer

bechaini, khalbli, yun tadapna
kehta hai kyon karvat badal raha hai.. chal uth na!

Popular Posts