Kaun baat karta hai ?
Kisse?
Hum sirf poochte hi to hain .
“aur kya haal hain?”
“aur kya chal raha hai ?”
“aur kuch naya ?”
savaal puraane ho gaye hain,
bahot puraane.
par shaayad poochna aasan hota hai,isliye baras jaate hain.
Jab tak aap poochne vaalon mein se hain,sukoon hai.
Par agar aap javab dene vaalon mein se hue,to thoda mushkil hai.
Amooman javab aise hote hain…
“bas ,chal raha hai”
“bas ,sab mast”
aasan hai in savalon aur javabon ki bunaavat mein ulajh kar ye mehsoos karna ki hum duniya mein ghule hue hain,par kya vakhai hain?
ye sab kuch bahot sarsari aur upari satah par hota hai…andar kaafi gehrayi hai…jisko poochne aur batane vaala dono hi nahi choona chahte hain…
Jab aap canvas par paint karne ke liye ..apna paint brush baar baar ek paani se bhare dabbe mein ghumaate hain..to na jaane kitne rang ghol dete hain…
Hum sab inhi rangon ki tarah kabhi ghula karte the aapas mein…aur udhar vo tasveer banti rehti thi...aaj vo tasveer poori ho chuki hai..aur shaayad utni khoobsoorat nahi bani…jitni humne sochi thi…
Vo paani se bhara dabba soonkh chukka hai…aur sirf ek nichli parat reh gayi hai…kuch matmaili rangat ki is parat ko hamare rangon ne hi ghol kar banaya tha…
hum is parat mein jazb hain..ek doosre ke bahot paas ..par ye sookhti jaa rahi hai…aur isme daraarein pad rahi hain....jinme hum fase hue hain…
hum mein se aadhe rang us tasveer mein hai jo canvas par hai..aur aadhe us dabbe mein…
jo rang canvas par hain…vo khoobsoorat hain…baahaisiyat hain…aur khush dikhte hain…sirf dikhte hain…
aur baaki ke jo us dabbe mein hain..unki asliyat aap hi numaaya hai…
zaroorat hai ek naye canvas ki…
jispar ek nayi tasveer banane ki pehel ki jaaye…
aur zaroorat hai ek baar fir sab kuch bhool kar ek doosre mein ghul jaane ki…
agar is baar hum is shikanje se baahar aa paaye ki hum mein se kaun ..canvas par jayega ?
aur kaun dabbe mein soonkh kar us parat mein kho jayega?to shaayad tasveer bahot khoobsoorat banegi…
brush oopar vale ke haath mein hain…mukaddar vo likhta hai…
humein ye bhoolna nahi chahiye…..
yaad rakhenge to khush rahenge…varna aise hi bemasraf savalon-javabon ka ek rela hoga…
aur insaan saath rehte hue bhi akela hoga….
Comments
You remember that I told you I dont greet people here because it all seems so pretentious. Most of them who are posing these questions have nothing to do with me or how well or unwell I am. Whatever they used to ask and all the replies including that fake smile were so hollow that I stopped myself from putting efforts in it. I know this is not one of the polite ways of being with people but I don't care and actually that is not the point .. my point here is that you have got the feeling exactly right in simple language.